Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
chhupaa na raaz mohabbat kaa bu-e-gul ki tarah
jo baat dil mein thi vo darmiyaan nikal aai
چھپا نہ راز محبت کا بوئے گل کی طرح
جو بات دل میں تھی وہ درمیاں نکل آئی
छुपा न राज़ मोहब्बत का बू-ए-गुल की तरह
जो बात दिल में थी वो दरमियाँ निकल आई

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
khaal aur rukh se kis ko duun nisbat
aise taare na aisaa pyaaraa chaand
safar mein ishq ke ik aisaa marhala aayaa
vo DhunDtaa thaa mujhe aur kho gayaa thaa main
rasm-e-jahaan na chhuT saki tark-e-ishq se
jab mil gae to pursish-e-haalaat ho gai
so gayaa vaqt ki dahliz pe sar rakkhe hue
main kahaan tak safar-e-ishq mein tanhaa jaataa