Shayari
isi ik baat par hai ittifaaq-o-ikhtilaaf us se
use aaina aur mujh ko piyaala achchhaa lagtaa hai
chaaron jaanib rachi hui hai ashkon ki bu-baas
is raste se guzre honge qaafile hijrat vaale
چاروں جانب رچی ہوئی ہے اشکوں کی بو باس
اس رستے سے گزرے ہوں گے قافلے ہجرت والے
चारों जानिब रची हुई है अश्कों की बू-बास
इस रस्ते से गुज़रे होंगे क़ाफ़िले हिजरत वाले

isi ik baat par hai ittifaaq-o-ikhtilaaf us se
use aaina aur mujh ko piyaala achchhaa lagtaa hai
hazaar tarah ke the ranj pichhle mausam mein
par itnaa thaa ki koi saath rone vaalaa thaa
jo dil ke taaq mein tu ne charaagh rakkhaa thaa
na puchh main ne use kis tarah sitaara kiyaa
kisi bhi vaqt badal saktaa hai lamha koi
is qadar khush bhi na ho meri pareshaani par
vo log mere bahut pyaar karne vaale the
guzar gae hain jo mausam guzarne vaale the
vo bhi milne nai poshaak badal kar aayaa
main jo kal pairahan-e-khaak badal kar aayaa
pyaasaa mat jalaa saaqi mujhe garmi siin hijraan ki
shitaabi laa sharaab-e-khaam ham ne dil ko bhunaa hai
vo aa rahaa thaa magar main nikal gayaa kahin aur
sau zakhm-e-hijr se baDh kar azaab main ne diyaa
kaisi hain aazmaaishein kaisaa ye imtihaan hai
mere junun ke vaaste hijr ki ek raat bas
isi liye to ye duniyaa dhuli dhuli si lage
tire firaaq mein roe hain zaar-zaar abhi
tumhaare hijr mein kyuun zindagi na mushkil ho
tumhin jigar ho tumhin jaan ho tumhin dil ho
zakhmon ko phuul kar de tanhaaiyon ko marham
sau qurbaton pe bhaari hijrat kaa ek mausam