Shayari
bin tumhaare kabhi nahin aai
kyaa miri niind bhi tumhaari hai
mustaqil boltaa hi rahtaa huun
kitnaa khaamosh huun main andar se
مستقل بولتا ہی رہتا ہوں
کتنا خاموش ہوں میں اندر سے
mustaqil boltā hī rahtā huuñ
kitnā ḳhāmosh huuñ maiñ andar se

bin tumhaare kabhi nahin aai
kyaa miri niind bhi tumhaari hai
ek qattaala chaahiye ham ko
ham ye ealaan-e-aam kar rahe hain
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
bahut nazdik aati jaa rahi ho
bichhaDne kaa iraada kar liyaa kyaa
ham ajab hain ki us ki baahon mein
shikva-e-naarasaai karte hain
dil ki taklif kam nahin karte
ab koi shikva ham nahin karte
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
kyaa kyaa pukaarein sisakti dekhin lafzon ke zindaanon mein
chup hi ki talqin kare hai ghairat-mand zamir hamein
jaa paDe chup ho ke jab shahr-e-khamoshaan mein 'nazir'
ye ghazal ye rekhta ye sher-khvaani phir kahaan
be-hisi par miri vo khush thaa ki patthar hi to hai
main bhi chup thaa ki chalo siine mein khanjar hi to hai
sabaq aa ke gor-e-gharibaan se le lo
khamoshi mudarris hai is anjuman mein
is bhari duniyaa se vo chal diyaa chupke se yuun
jaise kisi ko bhi ab us ki zarurat na thi