Shayari
ye kah ke us ne mujhe makhmase mein Daal diyaa
milaao haath agar vaaqai mohabbat hai
aap se ab kyaa chhupaanaa aap koi ghair hain
ho chukaa huun main kisi kaa aap bhi ho jaaiye
آپ سے اب کیا چھپانا آپ کوئی غیر ہیں
ہو چکا ہوں میں کسی کا آپ بھی ہو جائیے
आप से अब क्या छुपाना आप कोई ग़ैर हैं
हो चुका हूँ मैं किसी का आप भी हो जाइए

ye kah ke us ne mujhe makhmase mein Daal diyaa
milaao haath agar vaaqai mohabbat hai
mujhe tanhaai ki aadat hai meri baat chhoDein
ye liije aap kaa ghar aa gayaa hai haat chhoDein
ye jo milaate phirte ho tum har kisi se haath
aisaa na ho ki dhonaa paDe zindagi se haath
guzar rahi thi zindagi guzar rahi hai zindagi
nasheb ke baghair bhi faraaz ke baghair bhi
us ne aavaara-mizaaji ko nayaa moD diyaa
paa-ba-zanjir kiyaa aur mujhe chhoD diyaa
ye jo mahfil mein mire naam se maujud huun main
main nahin huun miraa dhokaa hai koi dekh na le
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
kaaghaz ki naav bhi hai khilaune bhi hain bahut
bachpan se phir bhi haath milaanaa muhaal hai
taa-umr apni fikr o riyaazat ke baavajud
khud ko kisi sazaa se bachaanaa muhaal hai
tiri yaad mein thi vo be-khudi ki na fikr-e-naama-bari rahi
miri vo nigaarish-e-shauq bhi kahin taaq hi pe dhari rahi
ham kahaan aur tum kahaan jaanaan
hain kai hijr darmiyaan jaanaan