Shayari
kis tarah be-mauj aur khaali ravaani se huaa
be-khabar dariyaa kahaan par apne paani se huaa
ajnabi bud-o-baash ke qurb-o-javaar mein milaa
bichhDaa to vo mujhe kisi aur dayaar mein milaa
اجنبی بود و باش کے قرب و جوار میں ملا
بچھڑا تو وہ مجھے کسی اور دیار میں ملا
अजनबी बूद-ओ-बाश के क़ुर्ब-ओ-जवार में मिला
बिछड़ा तो वो मुझे किसी और दयार में मिला

kis tarah be-mauj aur khaali ravaani se huaa
be-khabar dariyaa kahaan par apne paani se huaa
samajh rahaa hai zamaana riyaa ke pichhe huun
main ek aur tarah se khudaa ke pichhe huun
thoDaa saa kahin jama bhi rakh dard kaa paani
mausam hai koi khushk saa barsaat se aage
Dubne vaalaa thaa din shaam thi hone vaali
yuun lagaa miri koi chiiz thi khone vaali
kuchh zamaane ki ravish ne sakht mujh ko kar diyaa
aur kuchh bedard main us ko bhulaane se huaa
judaa thi baam se divaar dar akelaa thaa
makin the khud mein magan aur ghar akelaa thaa
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
un se ai dost miraa yuun koi rishta to na thaa
kyuun phir is tark-e-taalluq se pashemaan thaa main
jo munh se kahte hain kuchh aur karte hain kuchh aur
vahi zamaana mein kuchh ikhtiyaar rakhte hain
kam-ayaari ne khudaa-soz banaayaa aisaa
but to sab yaad rahe ek khudaa bhuul gae