Shayari
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
aadmi ke paas sab kuchh hai magar
ek tanhaa aadamiyyat hi nahin
آدمی کے پاس سب کچھ ہے مگر
ایک تنہا آدمیت ہی نہیں
आदमी के पास सब कुछ है मगर
एक तन्हा आदमिय्यत ही नहीं

sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
meri nigaah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar
phir bhi tiraa shabaab tiraa hi shabaab hai
vo nazron hi nazron mein savaalaat ki duniyaa
vo aankhon hi aankhon mein javaabaat kaa aalam
nigaah-e-shauq ne mahshar mein saaf taaD liyaa
kahaan vo chhupte ki aankhon mein the samaae hue
ham kahin aate hain vaaiz tire bahkaane mein
isi maikhaane ki miTTi isi maikhaane mein
aadat ke baa'd dard bhi dene lagaa mazaa
hans hans ke aah aah kiye jaa rahaa huun main
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kuchh chaandni udaas thi kuchh dil bhi thaa udaas
kal raat karb-e-zaat bhi had se sivaa huaa
gale se lag zabaan ko chhu koi khvaahish bhi puuri kar
dilaason se kahaan gham ki fazaa tabdil hoti hai
ishq ne jis dil pe qabza kar liyaa
phir kahaan us mein nashaat o gham rahe