Shayari
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
mere dard mein ye khalish kahaan mere soz mein ye tapish kahaan
kisi aur hi ki pukaar hai miri zindagi ki sadaa nahin
میرے درد میں یہ خلش کہاں میرے سوز میں یہ تپش کہاں
کسی اور ہی کی پکار ہے مری زندگی کی صدا نہیں
मेरे दर्द में ये ख़लिश कहाँ मेरे सोज़ में ये तपिश कहाँ
किसी और ही की पुकार है मिरी ज़िंदगी की सदा नहीं

sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
meri nigaah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar
phir bhi tiraa shabaab tiraa hi shabaab hai
vo nazron hi nazron mein savaalaat ki duniyaa
vo aankhon hi aankhon mein javaabaat kaa aalam
nigaah-e-shauq ne mahshar mein saaf taaD liyaa
kahaan vo chhupte ki aankhon mein the samaae hue
ham kahin aate hain vaaiz tire bahkaane mein
isi maikhaane ki miTTi isi maikhaane mein
aadat ke baa'd dard bhi dene lagaa mazaa
hans hans ke aah aah kiye jaa rahaa huun main
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
na kohkan hai na majnun ki the mire hamdard
main apnaa dard-e-mohabbat kahun to kis se kahun
udaas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain
main jis ki aankh kaa aansu thaa us ne qadr na ki
bikhar gayaa huun to ab ret se uThaae mujhe