Shayari
dekhaa nahin vo chaand saa chehraa kai din se
taarik nazar aati hai duniyaa kai din se
ik sham-e-aarzu ki haqiqat hi kyaa magar
tufaan mein ham charaagh jalaae hue to hain
اک شمع آرزو کی حقیقت ہی کیا مگر
طوفاں میں ہم چراغ جلائے ہوئے تو ہیں
इक शम-ए-आरज़ू की हक़ीक़त ही क्या मगर
तूफ़ाँ में हम चराग़ जलाए हुए तो हैं

dekhaa nahin vo chaand saa chehraa kai din se
taarik nazar aati hai duniyaa kai din se
vo saadgi mein bhi hai ajab dilkashi liye
is vaaste ham us ki tamannaa mein ji liye
tiri talaash mein nikle to itni duur gae
ki ham se tai na hue faasle judaai ke
ajab bahaar dikhaai lahu ke chhinTon ne
khizaan kaa rang bhi rang-e-bahaar jaisaa thaa
udaasiyaan hain jo din mein to shab mein tanhaai
basaa ke dekh liyaa shahr-e-aarzu main ne
qatra na ho to bahr na aae vajud mein
paani ki ek buund samundar se kam nahin
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
takmil-e-aarzu se bhi hotaa hai gham kabhi
aisi duaa na maang jise bad-duaa kahein
khud apni lauh-e-tamannaa pe khil ke dekhungaa
kisi ke jabr ne likkhaa thaa raaegaan mujh ko
jism ki miTTi na le jaae bahaa kar saath mein
dil ki gahraai mein girtaa khvaahishon kaa aabshaar
be-khabar road pe in bhaagte bachchon ko main
kitni hasrat se thakan oDhe hue dekhtaa huun
teri nisbat mili mujhe jab se
main koi aarzu nahin kartaa