Shayari
qatra na ho to bahr na aae vajud mein
paani ki ek buund samundar se kam nahin
udaasiyaan hain jo din mein to shab mein tanhaai
basaa ke dekh liyaa shahr-e-aarzu main ne
اداسیاں ہیں جو دن میں تو شب میں تنہائی
بسا کے دیکھ لیا شہر آرزو میں نے
उदासियाँ हैं जो दिन में तो शब में तन्हाई
बसा के देख लिया शहर-ए-आरज़ू मैं ने

qatra na ho to bahr na aae vajud mein
paani ki ek buund samundar se kam nahin
dekhaa nahin vo chaand saa chehraa kai din se
taarik nazar aati hai duniyaa kai din se
vo saadgi mein bhi hai ajab dilkashi liye
is vaaste ham us ki tamannaa mein ji liye
tiri talaash mein nikle to itni duur gae
ki ham se tai na hue faasle judaai ke
ajab bahaar dikhaai lahu ke chhinTon ne
khizaan kaa rang bhi rang-e-bahaar jaisaa thaa
ik sham-e-aarzu ki haqiqat hi kyaa magar
tufaan mein ham charaagh jalaae hue to hain
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kufr-o-islaam ne maqsad ko pahunchne na diyaa
kaaba-o-dair ko sang-e-rah-e-manzil samjhaa
raasta sunsaan thaa to muD ke dekhaa kyuun nahin
mujh ko tanhaa dekh kar us ne pukaaraa kyuun nahin