Shayari
yuun ilaaj-e-dil bimaar kiyaa jaaegaa
sharbat-e-did se sarshaar kiyaa jaaegaa
teri nisbat mili mujhe jab se
main koi aarzu nahin kartaa
تیری نسبت ملی مجھے جب سے
میں کوئی آرزو نہیں کرتا
तेरी निस्बत मिली मुझे जब से
मैं कोई आरज़ू नहीं करता

yuun ilaaj-e-dil bimaar kiyaa jaaegaa
sharbat-e-did se sarshaar kiyaa jaaegaa
main chaahtaa thaa ki us ko gulaab pesh karun
vo khud gulaab thaa us ko gulaab kyaa detaa
abhi to us kaa koi tazkira huaa bhi nahin
abhi se bazm mein khushbu kaa raqs jaari hai
mein iztiraab ke aalam mein raqs kartaa rahaa
kabhi ghubaar ki surat kabhi dhuaan ban kar
ab to har ek adaakaar se Dar lagtaa hai
mujh ko dushman se nahin yaar se Dar lagtaa hai
ghamon ki dhuup mein milte hain saaebaan ban kar
zamin pe rahte hain kuchh log aasmaan ban kar
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
taalib-e-dost alag rahte hain sab se un ko
paas-e-asnaam nahin khvaahish-e-islaam nahin
kyaa gham jo hasraton ke diye bujh gae tamaam
daaghon se aaj ghar mein charaaghaan kareinge ham
aaj bhi zakhm hi khilte hain sar-e-shaakh-e-nihaal
nakhl-e-khvaahish pe vahi be-samari rahnaa thi
tum to sirf ik diid ki hasrat pe barham ho gae
kam se kam puuri to sunte daastaan-e-aarzu
aarzu lutf talab ishq saraasar naakaam
mubtalaa zindagi-e-dil inhin auhaam mein hai