Shayari
Thahri thi ghizaa apni jo gham ishq-e-butaan mein
so aah hamaari hamein khuraak ne khaayaa
dil-e-vahshi ko khvaahish hai tumhaare dar pe aane ki
divaanaa hai va-lekin baat kartaa hai Thikaane ki
دل وحشی کو خواہش ہے تمہارے در پہ آنے کی
دوانا ہے ولیکن بات کرتا ہے ٹھکانے کی
दिल-ए-वहशी को ख़्वाहिश है तुम्हारे दर पे आने की
दिवाना है व-लेकिन बात करता है ठिकाने की

Thahri thi ghizaa apni jo gham ishq-e-butaan mein
so aah hamaari hamein khuraak ne khaayaa
khaae so pachhtaae aur pachhtaae vo bhi jo na khaae
ye gham-e-ishq-e-butaan laDDu hai goyaa bor kaa
puchho na kuchh sabab mire haal-e-tabaah kaa
ulfat kaa ye samar hai natija hai chaah kaa
ik bosa maangtaa huun main khairaat-e-husn ki
do maal ki zakaat ki daulat ziyaada ho
allaah-re bhulaapaa munh dho ke khud vo bole
sungho to ho gayaa ye paani gulaab kyunkar
shaagird-e-rashid aap saa huun shaikh-ji saahib
kuchh ilm o amal tum ne na shaitaan mein chhoDaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
baaqi ki mohabbat mein dil saaf huaa itnaa
jab sar ko jhukaataa huun shisha nazar aataa hai
bas tu ne apne munh se jo parda uThaa diyaa
hasrat nikal gai dil-e-ummid-vaar ki
in buton ki hi mohabbat se khudaa miltaa hai
kaafiron ko jo na chaahe vo musalmaan nahin