Shayari
zamir o zehn mein ik sard jang jaari hai
kise shikast duun aur kis pe fath paaun main
zinda koi kahaan thaa ki sadqa utaartaa
aakhir tamaam shahr hi khaashaak ho gayaa
زندہ کوئی کہاں تھا کہ صدقہ اتارتا
آخر تمام شہر ہی خاشاک ہو گیا
ज़िंदा कोई कहाँ था कि सदक़ा उतारता
आख़िर तमाम शहर ही ख़ाशाक हो गया

zamir o zehn mein ik sard jang jaari hai
kise shikast duun aur kis pe fath paaun main
vo mere khvaab churaa kar bhi khush nahin 'ajmal'
vo ek khvaab lahu mein jo phail jaanaa thaa
kyuun baam pe aavaazon kaa dhammaal hai 'ajmal'
is ghar pe to aaseb kaa saaya bhi nahin hai
kahte hain ki uThne ko hai ab rasm-e-mohabbat
aur is ke sivaa koi tamaashaa bhi nahin hai
ye gham miraa hai to phir ghair se ilaaqa kyaa
mujhe hi apni tamannaa kaa baar Dhone de
kis se main un kaa Thikaanaa puchhtaa
saamne khaali makaan thaa aur main
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
is kaDi dhuup mein saaya kar ke
tu kahaan hai mujhe tanhaa kar ke
kahne ko gham-e-hijr baDaa dushman-e-jaan hai
par dost bhi is dost se behtar nahin miltaa
mujhe khabar hai use aisaa dard hai 'zaahid'
jise davaa nahin rishvat sukun deti hai