Shayari
gham hai to koi lutf nahin bistar-e-gul par
ji khush hai to kaanTon pe bhi aaraam bahut hai
khamoshi mein har baat ban jaae hai
jo bole hai divaana kahlaae hai
خموشی میں ہر بات بن جائے ہے
جو بولے ہے دیوانہ کہلائے ہے
ख़मोशी में हर बात बन जाए है
जो बोले है दीवाना कहलाए है

gham hai to koi lutf nahin bistar-e-gul par
ji khush hai to kaanTon pe bhi aaraam bahut hai
ye tarz-e-khaas hai koi kahaan se laaegaa
jo ham kaheinge kisi se kahaa na jaaegaa
mausam-e-gul hamein jab yaad aayaa
jitnaa gham bhule the sab yaad aayaa
haan kuchh bhi to derina mohabbat kaa bharam rakh
dil se na aa duniyaa ko dikhaane ke liye aa
unhin ke giit zamaane mein gaae jaaeinge
jo choT khaaeinge aur muskuraae jaaeinge
ye aansu be-sabab jaari nahin hai
mujhe rone ki bimaari nahin hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
raat yuun dil mein tiri khoi hui yaad aai
jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaae
baaton ne us ki ham ko khaamosh kar diyaa hai
aage zabaan thi lekin ab gosh kar diyaa
main abhi chup huun to maikhaane mein khaamoshi hai
koi paighaam to de ai lab-e-saaghar mujh ko
chup ke aalam mein vo tasvir si surat us ki
bolti hai to badal jaati hai rangat us ki
jis ne paayaa use so hai khaamosh
jis ne paayaa nahin so baktaa hai