Shayari
daaman pe koi chhinT na khanjar pe koi daagh
tum qatl karo ho ki karaamaat karo ho
ye aansu be-sabab jaari nahin hai
mujhe rone ki bimaari nahin hai
یہ آنسو بے سبب جاری نہیں ہے
مجھے رونے کی بیماری نہیں ہے
ये आँसू बे-सबब जारी नहीं है
मुझे रोने की बीमारी नहीं है

daaman pe koi chhinT na khanjar pe koi daagh
tum qatl karo ho ki karaamaat karo ho
zaalim thaa vo aur zulm ki aadat bhi bahut thi
majbur the ham us se mohabbat bhi bahut thi
dard aisaa hai ki ji chaahe hai zinda rahiye
zindagi aisi ki mar jaane ko ji chaahe hai
na jaane ruuTh ke baiThaa hai dil kaa chain kahaan
mile to us ko hamaaraa koi salaam kahe
rakhnaa hai kahin paanv to rakkho ho kahin paanv
chalnaa zaraa aayaa hai to itraae chalo ho
miraa haal puchh ke ham-nashin mire soz-e-dil ko havaa na de
bas yahi duaa main karun huun ab ki ye gham kisi ko khudaa na de
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
duur tak ek khalaa hai so khalaa ke andar
sirf tanhaai ki surat hi nazar aaegi
ham kis ko dikhaate shab-e-furqat ki udaasi
sab khvaab mein the raat ko bedaar hamin the
aur bhi kitne tariqe hain bayaan-e-gham ke
muskuraati hui aankhon ko to pur-nam na karo