Shayari
gham hai to koi lutf nahin bistar-e-gul par
ji khush hai to kaanTon pe bhi aaraam bahut hai
mausam-e-gul hamein jab yaad aayaa
jitnaa gham bhule the sab yaad aayaa
موسم گل ہمیں جب یاد آیا
جتنا غم بھولے تھے سب یاد آیا
मौसम-ए-गुल हमें जब याद आया
जितना ग़म भूले थे सब याद आया

gham hai to koi lutf nahin bistar-e-gul par
ji khush hai to kaanTon pe bhi aaraam bahut hai
ye tarz-e-khaas hai koi kahaan se laaegaa
jo ham kaheinge kisi se kahaa na jaaegaa
haan kuchh bhi to derina mohabbat kaa bharam rakh
dil se na aa duniyaa ko dikhaane ke liye aa
unhin ke giit zamaane mein gaae jaaeinge
jo choT khaaeinge aur muskuraae jaaeinge
tujhe sang-dil ye pata hai kyaa ki dukhe dilon ki sadaa hai kyaa?
kabhi choT tu ne bhi khaai hai kabhi teraa dil bhi dukhaa hai kyaa?
ye aansu be-sabab jaari nahin hai
mujhe rone ki bimaari nahin hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
qarib se use dekho to vo bhi tanhaa hai
jo duur se nazar aataa hai anjuman yaaro
ai kaash khud sukut bhi mujh se ho ham-kalaam
main khaamushi-zada huun sadaa chaahiye mujhe
muD ke jo aa nahin paayaa hogaa us kuche mein jaa ke 'zafar'
ham jaisaa be-bas hogaa ham jaisaa tanhaa hogaa