Shayari
gham hai to koi lutf nahin bistar-e-gul par
ji khush hai to kaanTon pe bhi aaraam bahut hai
gharaz kisi se na ai dosto kabhu rakhiyo
bas apne haath yahaan apni abru rakhiyo
غرض کسی سے نہ اے دوستو کبھو رکھیو
بس اپنے ہاتھ یہاں اپنی ابرو رکھیو
ग़रज़ किसी से न ऐ दोस्तो कभू रखियो
बस अपने हाथ यहाँ अपनी अबरू रखियो

gham hai to koi lutf nahin bistar-e-gul par
ji khush hai to kaanTon pe bhi aaraam bahut hai
ye tarz-e-khaas hai koi kahaan se laaegaa
jo ham kaheinge kisi se kahaa na jaaegaa
mausam-e-gul hamein jab yaad aayaa
jitnaa gham bhule the sab yaad aayaa
haan kuchh bhi to derina mohabbat kaa bharam rakh
dil se na aa duniyaa ko dikhaane ke liye aa
unhin ke giit zamaane mein gaae jaaeinge
jo choT khaaeinge aur muskuraae jaaeinge
ye aansu be-sabab jaari nahin hai
mujhe rone ki bimaari nahin hai
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
siina se siina milaa denaa to kuchh mushkil nahin
yaar mushkil to tire dil se milaanaa dil kaa hai
doston ko bhi tah-ba-tah rakh de
jaise rakhti hai tu libaas apne
har ek haath mein hathyaar hon jahaan 'aarif'
mujhe qalam se vahaan inqalaab laanaa hai