Shayari
jab kisi ne qad o gesu kaa fasaana chheDaa
baat baDh ke rasan-o-daar tak aa pahunchi hai
hai zeb-e-gulu kab se mire daar kaa phandaa
mujrim huun agar main to sazaa kyuun nahin dete
ہے زیب گلو کب سے مرے دار کا پھندا
مجرم ہوں اگر میں تو سزا کیوں نہیں دیتے
है ज़ेब-ए-गुलू कब से मिरे दार का फंदा
मुजरिम हूँ अगर मैं तो सज़ा क्यूँ नहीं देते

shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
sadaa chaman se jo aati hai roz chaT chaT ki
balaaein ghunche tiri subh o shaam lete hain
chaman mein shab ko ghiraa abr-e-nau-bahaar rahaa
huzur aap kaa kyaa kyaa na intizaar rahaa