Shayari
har marhala-e-gham mein mili is se tasalli
har moD pe ghabraa ke tiraa naam liyaa hai
haal-e-dil us ko sunaa kar hai bahut khush 'kausar'
lekin ab soch zaraa kyaa tiri auqaat rahi
حال دل اس کو سنا کر ہے بہت خوش کوثرؔ
لیکن اب سوچ ذرا کیا تری اوقات رہی
हाल-ए-दिल उस को सुना कर है बहुत ख़ुश 'कौसर'
लेकिन अब सोच ज़रा क्या तिरी औक़ात रही

har marhala-e-gham mein mili is se tasalli
har moD pe ghabraa ke tiraa naam liyaa hai
bar-sar-e-aam iqraar agar naa-mumkin hai to yunhi sahi
kam-az-kam idraak to kar le gun be-shak mat maan mire
chand lamhon ke liye ek mulaaqaat rahi
phir na vo tu na vo main aur na vo raat rahi
apne vahshat-zada kamre ki ik almaari mein
teri tasvir aqidat se sajaa rakkhi hai
ai masihaa kabhi tu bhi to use dekhne aa
tere bimaar ko sunte hain ki aaraam nahin
jazbaat mein aa kar marnaa to mushkil si koi mushkil hi nahin
ai jaan-e-jahaan ham tere liye jiinaa bhi gavaaraa karte hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
qulzum-e-fikr mein hai kashti-e-imaan saalim
naa-khudaa husn hai aur ishq hai langar apnaa
jab se is dasht mein aayaa huun isi soch mein huun
ki bayaabaan mein kyaa soch kar aataa hai koi
manaayaa jaa rahaa hai gham tumhaaraa
puraani film dekhi jaa rahi hai
zindagi ek film hai meri
jis mein hansne kaa scene hai hi nahin