Shayari
sabhi kirdaar thak kar so gae hain
magar ab tak kahaani chal rahi hai
apne sahraa se bandhe pyaas ke maare hue ham
muntazir hain ki idhar koi kuaan aa nikle
اپنے صحرا سے بندھے پیاس کے مارے ہوئے ہم
منتظر ہیں کہ ادھر کوئی کنواں آ نکلے
अपने सहरा से बंधे प्यास के मारे हुए हम
मुंतज़िर हैं कि इधर कोई कुआँ आ निकले

sabhi kirdaar thak kar so gae hain
magar ab tak kahaani chal rahi hai
vaqt guzar jaataa hai lekin dil ki ranjish
dil mein baiThi ki baiThi hi rah jaati hai
ik chingaari aag lagaa jaati hai ban mein aur kabhi
ek kiran se zulmat ko chhaT jaanaa paDtaa hai
jiinaa to alag baat hai marnaa bhi yahaan par
har shakhs ki apni hi zarurat ke liye hai
yunhi bekaar main paDaa khud ko
kaar-aamad banaa rahaa huun main
banne vaali baat vahi hoti hai vo jo
bante bante yaksar banti rah jaati hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
ab apnaa intizaar rahegaa tamaam-umr
ik shakhs thaa jo mujh se judaa kar gayaa mujhe
ye vaqt band darichon pe likh gayaa 'qaisar'
main jaa rahaa huun miraa intizaar mat karnaa
ye intizaar ki ghaDiyaan ye shab kaa sannaaTaa
is ek shab mein bhare hain hazaar saal ke din