Shayari
jo tum parfum mein Dupki lagaa kar roz aati ho
fazaa tum se moattar hai havaa mein kuchh nahin rakkhaa
do chaar din se meri samaaat block thi
tum ne ghazal paDhi to miraa kaan khul gayaa
دو چار دن سے میری سماعت بلاک تھی
تم نے غزل پڑھی تو مرا کان کھل گیا
दो चार दिन से मेरी समाअत ब्लाक थी
तुम ने ग़ज़ल पढ़ी तो मिरा कान खुल गया

jo tum parfum mein Dupki lagaa kar roz aati ho
fazaa tum se moattar hai havaa mein kuchh nahin rakkhaa
jo lughat ko toD-maroD de jo ghazal ko nasr se joD de
main vo bad-mazaaq-e-sukhan nahin vo jadidiyaa koi aur hai
election phir vo zil-hijj ke mahine mein karaaeinge
to kyaa do daant ke voter ki phir qurbaaniyaan hongi
main ne bas itnaa hi likhaa i-love-you aur phir
us ne aage kar diyaa thaa gaal internet par
na hon paise to istiqbaaliyon se kuchh nahin hogaa
kisi shaaer ko khaali taaliyon se kuchh nahin hogaa
kaisaa ajiib aayaa hai is saal kaa bajaT
murghi kaa jo bajaT hai vahi daal kaa bajaT
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe