Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
raushni ke liye dil jalaanaa paDaa
kaisi zulmat baDhi tere jaane ke baad
روشنی کے لیے دل جلانا پڑا
کیسی ظلمت بڑھی تیرے جانے کے بعد
रौशनी के लिए दिल जलाना पड़ा
कैसी ज़ुल्मत बढ़ी तेरे जाने के बअ'द

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ham pe guzraa hai vo bhi vaqt 'khumaar'
jab shanaasaa bhi ajnabi se mile
na to hosh se taaaruf na junun se aashnaai
ye kahaan pahunch gae hain tiri bazm se nikal ke
ye kahnaa thaa un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne mein mujh ko zamaane lage hain
phuul kar le nibaah kaanTon se
aadmi hi na aadmi se mile
dushmanon se pashemaan honaa paDaa hai
doston kaa khulus aazmaane ke baad
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
shisha-e-aabru sambhaal ai dil
daur ulTaa chalaa hai duniyaa kaa
khayaal us saf-e-mizhgaan kaa dil mein aaegaa
hamaare mulk mein bharti sipaah ki hogi
lutf-e-shab-e-mah ai dil us dam mujhe haasil ho
ik chaand baghal mein ho ik chaand muqaabil ho