Shayari
miri samajh mein na aayaa ye kaarobaar-e-hayaat
kahaan hai nafaa kahaan hai zarar nahin maalum
talkhaaba-e-hayaat piyaa hai tamaam umar
ab aur kyaa milaaegaa saaqi sharaab mein
تلخابۂ حیات پیا ہے تمام عمر
اب اور کیا ملائے گا ساقی شراب میں
तल्ख़ाबा-ए-हयात पिया है तमाम उम्र
अब और क्या मिलाएगा साक़ी शराब में

kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
idhar to tuul diyaa hai umiid ko us ne
udhar hayaat ataa ki hai mukhtasar mujh ko
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
meri saari zindagi ko be-samar us ne kiyaa
umr meri thi magar us ko basar us ne kiyaa