Shayari
zikr se rindon ke vaaiz tu abhi vaaqif nahin
ye to hu-haq ki sadaa hai shor-e-rindaana nahin
baada-e-khum-e-khaana-e-tauhid kaa mai-nosh huun
chuur huun masti mein aisaa be-khud-o-madhosh huun
بادۂ خم خانۂ توحید کا مے نوش ہوں
چور ہوں مستی میں ایسا بے خود و مدہوش ہوں
बादा-ए-ख़ुम-ए-ख़ाना-ए-तौहीद का मय-नोश हूँ
चूर हूँ मस्ती में ऐसा बे-ख़ुद-ओ-मदहोश हूँ

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
khaak-e-'shibli' se khamir apnaa bhi uTThaa hai 'fazaa'
naam urdu kaa huaa hai isi ghar se unchaa
ye mai-kada hai kalisaa o khaanqaah nahin
uruj-e-fikr o farogh-e-nazar ki manzil hai
kam nahin ai dil-e-betaab mataa-e-ummid
dast-e-mai-khvaar mein khaali hi sahi jaam to hai
ham Thahre raheinge kisi taabir ko thaame
aankhon mein koi khvaab ravaan yuun hi rahegaa