Shayari
raat bhi chaand bhi samundar bhi
mil gae kitne gham-gusaar mujhe
saaraa hisaab-e-jaan-o-dil rakkhaa hai tere saamne
chaahe to de amaan mujhe chaahe to darguzar na kar
سارا حساب جان و دل رکھا ہے تیرے سامنے
چاہے تو دے اماں مجھے چاہے تو درگزر نہ کر
सारा हिसाब-ए-जान-ओ-दिल रक्खा है तेरे सामने
चाहे तो दे अमाँ मुझे चाहे तो दरगुज़र न कर

raat bhi chaand bhi samundar bhi
mil gae kitne gham-gusaar mujhe
zaraa Thahro ki paDh luun kyaa likhaa mausam ki baarish ne
miri divaar par likhti rahi hai daastaan vo bhi
karam ke baab mein apnon se ibtidaa kiyaa kar
zaraa si baat pe dil ko na yuun buraa kiyaa kar
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
insaan ko dil milaa magar kyaa
andhe ke haath mein diyaa hai
ratb-o-yaabis mein hai tasarruf-e-ishq
aankh dariyaa hai dil jazira hai
muddat se iltifaat mire haal par nahin
kuchh to kaji hai dil mein ki sidhi nazar nahin