Shayari
saaraa hisaab-e-jaan-o-dil rakkhaa hai tere saamne
chaahe to de amaan mujhe chaahe to darguzar na kar
zaraa Thahro ki paDh luun kyaa likhaa mausam ki baarish ne
miri divaar par likhti rahi hai daastaan vo bhi
ذرا ٹھہرو کہ پڑھ لوں کیا لکھا موسم کی بارش نے
مری دیوار پر لکھتی رہی ہے داستاں وہ بھی
ज़रा ठहरो कि पढ़ लूँ क्या लिखा मौसम की बारिश ने
मिरी दीवार पर लिखती रही है दास्ताँ वो भी

saaraa hisaab-e-jaan-o-dil rakkhaa hai tere saamne
chaahe to de amaan mujhe chaahe to darguzar na kar
raat bhi chaand bhi samundar bhi
mil gae kitne gham-gusaar mujhe
karam ke baab mein apnon se ibtidaa kiyaa kar
zaraa si baat pe dil ko na yuun buraa kiyaa kar
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
aae kuchh abr kuchh sharaab aae
is ke baa'd aae jo azaab aae
gul to gul khaar pe dekhi jo kabhi garm shu'aa'
chhaa gae baagh pe ham abr-e-bahaaraan ho kar
sataayaa aaj munaasib jagah pe baarish ne
isi bahaane Thahar jaaein us kaa ghar hai yahaan
nafas nafas pe yahaan rahmaton ki baarish hai
hai bad-nasib jise zindagi na raas aai