Shayari
saaraa hisaab-e-jaan-o-dil rakkhaa hai tere saamne
chaahe to de amaan mujhe chaahe to darguzar na kar
raat bhi chaand bhi samundar bhi
mil gae kitne gham-gusaar mujhe
رات بھی چاند بھی سمندر بھی
مل گئے کتنے غم گسار مجھے
रात भी चाँद भी समुंदर भी
मिल गए कितने ग़म-गुसार मुझे

saaraa hisaab-e-jaan-o-dil rakkhaa hai tere saamne
chaahe to de amaan mujhe chaahe to darguzar na kar
zaraa Thahro ki paDh luun kyaa likhaa mausam ki baarish ne
miri divaar par likhti rahi hai daastaan vo bhi
karam ke baab mein apnon se ibtidaa kiyaa kar
zaraa si baat pe dil ko na yuun buraa kiyaa kar
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
jab anjuman tavajjoh-e-sad-guftugu mein ho
meri taraf bhi ik nigah-e-kam-sukhan paDe
dard-e-dil chhoD jaaiye so kahaan
apni baahar to yahaan guzar hi nahin
kal ye ik uunT se kahtaa thaa shuturbaan 'majid'
kaun hogaa tire ghamzon pe fidaa mere baad