Shayari
tire khayaal ke pahlu se uTh ke jab dekhaa
mahak rahaa thaa zamaane mein chaar-su tiraa gham
jab anjuman tavajjoh-e-sad-guftugu mein ho
meri taraf bhi ik nigah-e-kam-sukhan paDe
جب انجمن توجہ صد گفتگو میں ہو
میری طرف بھی اک نگہ کم سخن پڑے
जब अंजुमन तवज्जोह-ए-सद-गुफ़्तुगू में हो
मेरी तरफ़ भी इक निगह-ए-कम-सुख़न पड़े

tire khayaal ke pahlu se uTh ke jab dekhaa
mahak rahaa thaa zamaane mein chaar-su tiraa gham
nigah uThi to zamaane ke saamne tiraa ruup
palak jhuki to mire dil ke ru-ba-ru tiraa gham
main roz idhar se guzartaa huun kaun dekhtaa hai
main jab idhar se na guzrungaa kaun dekhegaa
masih-o-khizr ki umrein nisaar hon us par
vo ek lamha jo yaaron ke darmiyaan guzre
salaam un pe tah-e-tegh bhi jinhon ne kahaa
jo teraa hukm jo teri razaa jo tu chaahe
har vaqt fikr-e-marg-e-gharibaana chaahiye
sehhat kaa ek pahlu marizaana chaahiye
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
zamaana sakht kam-aazaar hai ba-jaan-e-asad
vagarna ham to tavaqqo zyaada rakhte hain
chaahte hain khub-ruyon ko 'asad'
aap ki surat to dekhaa chaahiye
be-naam saa ye dard Thahar kyuun nahin jaataa
jo biit gayaa hai vo guzar kyuun nahin jaataa