Shayari
hujum-e-baada-o-gul mein hujum-e-yaaraan mein
kisi nigaah ne jhuk kar mire salaam liye
hijr mein milne shab-e-maah ke gham aae hain
chaarasaazon ko bhi bulvaao ki kuchh raat kaTe
ہجر میں ملنے شب ماہ کے غم آئے ہیں
چارہ سازوں کو بھی بلواؤ کہ کچھ رات کٹے
हिज्र में मिलने शब-ए-माह के ग़म आए हैं
चारासाज़ों को भी बुलवाओ कि कुछ रात कटे

hujum-e-baada-o-gul mein hujum-e-yaaraan mein
kisi nigaah ne jhuk kar mire salaam liye
tumhaare jism kaa suraj jahaan jahaan TuuTaa
vahin vahin miri zanjir-e-jaan bhi TuuTi hai
hayaat le ke chalo kaaenaat le ke chalo
chalo to saare zamaane ko saath le ke chalo
aap ki yaad aati rahi raat bhar
chashm-e-nam muskuraati rahi raat bhar
ishq ke shoale ko bhaDkaao ki kuchh raat kaTe
dil ke angaare ko dahkaao ki kuchh raat kaTe
ye tamannaa hai ki uDti hui manzil kaa ghubaar
subh ke parde mein yaad aa gai shaam aahista
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kis se jaa kar maangiye dard-e-mohabbat ki davaa
chaara-gar ab khud hi bechaare nazar aane lage
shaam-e-gham karvaT badaltaa hi nahin
vaqt bhi khuddaar hai tere baghair
gham-e-hayaat bhi aaghosh-e-husn-e-yaar mein hai
ye vo khizaan hai jo Duubi hui bahaar mein hai