Shayari
meraa azm itnaa buland hai ki paraae sholon kaa Dar nahin
mujhe khauf aatish-e-gul se hai ye kahin chaman ko jalaa na de
gham-e-hayaat bhi aaghosh-e-husn-e-yaar mein hai
ye vo khizaan hai jo Duubi hui bahaar mein hai
غم حیات بھی آغوش حسن یار میں ہے
یہ وہ خزاں ہے جو ڈوبی ہوئی بہار میں ہے
ग़म-ए-हयात भी आग़ोश-ए-हुस्न-ए-यार में है
ये वो ख़िज़ाँ है जो डूबी हुई बहार में है

meraa azm itnaa buland hai ki paraae sholon kaa Dar nahin
mujhe khauf aatish-e-gul se hai ye kahin chaman ko jalaa na de
unhein apne dil ki khabrein mire dil se mil rahi hain
main jo un se ruuTh jaaun to payaam tak na pahunche
kaafi hai mire dil ki tasalli ko yahi baat
aap aa na sake aap kaa paighaam to aayaa
kal raat zindagi se mulaaqaat ho gai
lab thartharaa rahe the magar baat ho gai
lamhe udaas udaas fazaaein ghuTi ghuTi
duniyaa agar yahi hai to duniyaa se bach ke chal
shaguftagi-e-dil-e-kaarvaan ko kyaa samjhe
vo ik nigaah jo uljhi hui bahaar mein hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
koi shikva na gham na koi yaad
baiThe baiThe bas aankh bhar aai
kitne hi gham nikharne lagte hain
ek lamhe ki shaadmaani se
raat guzre na dard-e-dil Thahre
kuchh to baDh jaae kuchh to ghaT jaae