Shayari
ishq ki allaah re fitna-kaariyaan
paak-daaman chaak-daaman ho gae
har baat kaa ehsaas mire dil se miTaa de
zinda mujhe rakhnaa hai to divaana banaa de
ہر بات کا احساس مرے دل سے مٹا دے
زندہ مجھے رکھنا ہے تو دیوانہ بنا دے
हर बात का एहसास मिरे दिल से मिटा दे
ज़िंदा मुझे रखना है तो दीवाना बना दे

ishq ki allaah re fitna-kaariyaan
paak-daaman chaak-daaman ho gae
miraa aanaa jahaan mein munhasir thaa tiin baaton par
jafaa sahnaa vafaa karnaa aur us ke baad mar jaanaa
parda hai ik baqaa kaa raaz-e-fanaa na puchho
mar kar bhi saath ham se chhuTaa na zindagi kaa
yuun manzar-e-hasti pe tiri chhaa gaiin aankhein
ik kaif saa har chiiz pe barsaa gaiin aankhein
yuun be-hijaab hain ki hain jaise hijaab mein
us bazm mein kisi ko majaal-e-nazar kahaan
ishq ki fitrat ne yuun badlaa mazaaq-e-zindagi
jitne gham baDhne lage utni khushi hone lagi
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
baat khote jo iltijaa karte
ai dil-e-naa-muraad kyaa karte
jism paaband-e-gul sahi 'aabid'
dil magar vahshaton ki basti hai
har ik aansu kaa badlaa ho saktaa hai
ye moti angaare bhi ban sakte hain
dam bhar ke liye hoti hai taskin si dil ko
aage na baDhaa is se asar apni duaa kaa