Shayari
ishq ki allaah re fitna-kaariyaan
paak-daaman chaak-daaman ho gae
vo chhupnaa tiraa parda-e-rang-o-bu mein
vo har rang mein meraa pahchaan jaanaa
وہ چھپنا ترا پردۂ رنگ و بو میں
وہ ہر رنگ میں میرا پہچان جانا
वो छुपना तिरा पर्दा-ए-रंग-ओ-बू में
वो हर रंग में मेरा पहचान जाना

ishq ki allaah re fitna-kaariyaan
paak-daaman chaak-daaman ho gae
miraa aanaa jahaan mein munhasir thaa tiin baaton par
jafaa sahnaa vafaa karnaa aur us ke baad mar jaanaa
parda hai ik baqaa kaa raaz-e-fanaa na puchho
mar kar bhi saath ham se chhuTaa na zindagi kaa
yuun manzar-e-hasti pe tiri chhaa gaiin aankhein
ik kaif saa har chiiz pe barsaa gaiin aankhein
yuun be-hijaab hain ki hain jaise hijaab mein
us bazm mein kisi ko majaal-e-nazar kahaan
ishq ki fitrat ne yuun badlaa mazaaq-e-zindagi
jitne gham baDhne lage utni khushi hone lagi
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
hamaare shahr mein ab har taraf vahshat barasti hai
so ab jangal mein apnaa ghar banaanaa chaahte hain ham
masala ye nahin ki ishq huaa hai ham ko
masala ye hai ki izhaar kiyaa jaanaa hai
vo khiDki ab aur kisi ko takti hai
main ne bhi us gali mein jaanaa chhoD diyaa