Shayari
ye faiz-e-ishq thaa ki hui har khataa muaaf
vo khush na ho sake to khafaa bhi na ho sake
go umr bhar na mil sake aapas mein ek baar
ham ek dusre se judaa bhi na ho sake
گو عمر بھر نہ مل سکے آپس میں ایک بار
ہم ایک دوسرے سے جدا بھی نہ ہو سکے
गो उम्र भर न मिल सके आपस में एक बार
हम एक दूसरे से जुदा भी न हो सके

kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
ye karein aur vo karein aisaa karein vaisaa karein
zindagi do din ki hai do din mein ham kyaa kyaa karein