Shayari
go umr bhar na mil sake aapas mein ek baar
ham ek dusre se judaa bhi na ho sake
ye faiz-e-ishq thaa ki hui har khataa muaaf
vo khush na ho sake to khafaa bhi na ho sake
یہ فیض عشق تھا کہ ہوئی ہر خطا معاف
وہ خوش نہ ہو سکے تو خفا بھی نہ ہو سکے
ये फ़ैज़-ए-इश्क़ था कि हुई हर ख़ता मुआफ़
वो ख़ुश न हो सके तो ख़फ़ा भी न हो सके

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mohabbat ke ye maani hain ki main ne
vahi chaahaa ki jo kuchh tu ne chaahaa
mukhaalifat se miri shakhsiyat sanvarti hai
main dushmanon kaa baDaa ehtiraam kartaa huun
ain daanaai hai 'naasikh' ishq mein divaangi
aap saudaai hain jo kahte hain saudaai mujhe