Shayari
dil pe ik gham ki ghaTaa chhaai hui thi kab se
aaj un se jo mile TuuT ke barsaat hui
ho jaae jahaan shaam vahin un kaa baseraa
aavaara parindon ke Thikaane nahin hote
ہو جائے جہاں شام وہیں ان کا بسیرا
آوارہ پرندوں کے ٹھکانے نہیں ہوتے
हो जाए जहाँ शाम वहीं उन का बसेरा
आवारा परिंदों के ठिकाने नहीं होते

dil pe ik gham ki ghaTaa chhaai hui thi kab se
aaj un se jo mile TuuT ke barsaat hui
bas yunhi ham-sari-e-ahl-e-jahaan mumkin hai
dam-ba-dam apni bulandi se utartaa jaaun
'makhmur' kaisi raah thi ham jis pe chal paDe
aai thi jis taraf se usi samt phir gai
main us ke vaade kaa ab bhi yaqin kartaa huun
hazaar baar jise aazmaa liyaa main ne
ghar mein rahaa thaa kaun ki rukhsat kare hamein
chaukhaT ko alvidaaa kahaa aur chal paDe
maslahat ke hazaar parde hain
mere chehre pe kitne chehre hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
ghazal mein jab talak ehsaas ki shiddat na ho shaamil
faqat alfaaz ki kaarigari mahsus hoti hai
dil rahe yaa na rahe zakhm bhare yaa na bhare
chaarasaazon ki khushaamad mujhe manzur nahin
ye din aur raat kis jaanib uDe jaate hain sadiyon se
kahin rukte to main bhi shaamil-e-parvaaz ho saktaa