Shayari
sadqe tire hote hain suraj bhi sitaare bhi
ham kis se kahein dil hai siine mein hamaare bhi
dil rahe yaa na rahe zakhm bhare yaa na bhare
chaarasaazon ki khushaamad mujhe manzur nahin
دل رہے یا نہ رہے زخم بھرے یا نہ بھرے
چارہ سازوں کی خوشامد مجھے منظور نہیں
दिल रहे या न रहे ज़ख़्म भरे या न भरे
चारासाज़ों की ख़ुशामद मुझे मंज़ूर नहीं

sadqe tire hote hain suraj bhi sitaare bhi
ham kis se kahein dil hai siine mein hamaare bhi
mar mar ke agar shaam to ro ro ke sahar ki
yuun zindagi ham ne tiri duuri mein basar ki
ibtidaa se aaj tak 'naatiq' ki ye hai sarguzisht
pahle chup thaa phir huaa divaana ab behosh hai
dil hai kis kaa jis mein armaan aap kaa rahtaa nahin
farq itnaa hai ki sab kahte hain main kahtaa nahin
aazaadiyon kaa haq na adaa ham se ho sakaa
anjaam ye huaa ki giraftaar ho gae
miri jaanib se un ke dil mein kis shikve pe kiina hai
vo shikva jo zabaan par kyaa abhi dil mein nahin aayaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
dil paa ke us ki zulf mein aaraam rah gayaa
darvesh jis jagah ki hui shaam rah gayaa
TukDe kai ik dil ke main aapas mein siye hain
phir subh talak rone ke asbaab kiye hain
dil se bas haath uThaa tu ab ai ishq
deh-e-viraan par khiraaj nahin