Shayari
khvaab Thahre the to aankhein bhigne se bach gaiin
varna chehre par to gham ki baarishon kaa aks hai
umr guzri ik nigaah-e-lutf ki ummid mein
ham ko apne hauslon ki ye adaa achchhi lagi
عمر گزری اک نگاہ لطف کی امید میں
ہم کو اپنے حوصلوں کی یہ ادا اچھی لگی
उम्र गुज़री इक निगाह-ए-लुत्फ़ की उम्मीद में
हम को अपने हौसलों की ये अदा अच्छी लगी

khvaab Thahre the to aankhein bhigne se bach gaiin
varna chehre par to gham ki baarishon kaa aks hai
main kisi aur ko dekhun bhi to dekhun kaise
us ke khvaabon ki in aankhon pe nigahbaani hai
shiddat-e-tishna-labi aaj kahaan laai hai
pyaas sahraa ki samundar mein utar aai hai
vo laDkiyaan ki jo lagti thiin saada tahrirein
paDhi gaiin to anokhi paheliyaan niklin
har daur kaa jo aks hai vo aaina hain ham
takhliq-e-kaaenaat kaa ik silsila hain ham
kar gaiin maujein sharaarat jab bhi likkhaa teraa naam
ret par jitni lakirein thiin vo sab mil-jul gaiin
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
phir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
umr bhar jis ke liye peT se baandhe patthar
ab vo gin gin ke khilaataa hai nivaale mujh ko
apni to is chaman mein nit umr yunhi guzri
yaan aashiyaan banaayaa vaan aashiyaan banaayaa