Shayari
kisi ke saath na hone ke dukh bhi jhele hain
kisi ke saath magar aur bhi akele hain
sab ke so jaane pe aflaak se kyaa kahtaa hai
raat ko ek parinde ki sadaa suntaa huun
سب کے سو جانے پہ افلاک سے کیا کہتا ہے
رات کو ایک پرندے کی صدا سنتا ہوں
सब के सो जाने पे अफ़्लाक से क्या कहता है
रात को एक परिंदे की सदा सुनता हूँ

kisi ke saath na hone ke dukh bhi jhele hain
kisi ke saath magar aur bhi akele hain
main khud mein gunjtaa huun ban ke teraa sannaaTaa
mujhe na dekh miri tarah be-zabaan ban kar
ham kai roz se be-vajh bahut khush hain chalo
zindagi ki ye adaaein bhi to dekhi jaaein
baar-haa khud pe main hairaan bahut hotaa huun
koi hai mujh mein jo bilkul hi judaa hai mujh se
duniyaa meri zindagi ke din kam karti jaati hai kyuun
khuun pasina ek kiyaa hai ye meri mazduri hai
shikaayat aur to kuchh bhi nahin in aankhon se
zaraa si baat pe paani bahut barastaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
vahi aansu vahi maazi ke qisse
jise dekho kaTe ko kaaTtaa hai
aur kuchh der gham nazar mein rakh
kyaa khabar mil hi jaae thaah kahin
ham ab udaas nahin sar-ba-sar udaasi hain
hamein charaagh nahin raushni kahaa jaae