Shayari
yaqin ho to koi raasta nikaltaa hai
havaa ki oT bhi le kar charaagh jaltaa hai
ummid o yaas ki rut aati jaati rahti hai
magar yaqin kaa mausam nahin badaltaa hai
امید و یاس کی رت آتی جاتی رہتی ہے
مگر یقین کا موسم نہیں بدلتا ہے
उम्मीद ओ यास की रुत आती जाती रहती है
मगर यक़ीन का मौसम नहीं बदलता है

yaqin ho to koi raasta nikaltaa hai
havaa ki oT bhi le kar charaagh jaltaa hai
tiis chaalis din to kaaT diye
aur kitne hain is mahine mein
qubul kaise karun un kaa faisla ki ye log
mire khilaaf hi meraa bayaan maangte hain
sunaa hai sachchi ho niyat to raah khulti hai
chalo safar na karein kam se kam iraada karein
kabhi kabhi to kisi ajnabi ke milne par
bahut puraanaa koi silsila nikaltaa hai
hadaf bhi mujh ko banaanaa hai aur mere harif
mujhi se tiir mujhi se kamaan maangte hain
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dil mein na ho jurat to mohabbat nahin milti
khairaat mein itni baDi daulat nahin milti
log kahte hain dil lagaanaa jise
rog vo bhi lagaa ke dekh liyaa
gumaan na thaa ki lifaafe mein khat ke badle vo
lahu-luhaan taDapti zabaan rakh degaa
manzar ko kisi tarah badalne ki duaa de
de raat ki ThanDak ko pighalne ki duaa de