Shayari
yahi bahut hai ki miTTi jaDon se lipTi hai
vagarna aaj darakhton mein barg-o-baar nahin
M
Marghoob Hasanhavaa ke saath safar kaa na hausla thaa jise
sabhi ko khauf usi lamha-e-sharar se thaa
ہوا کے ساتھ سفر کا نہ حوصلہ تھا جسے
سبھی کو خوف اسی لمحۂ شرر سے تھا
हवा के साथ सफ़र का न हौसला था जिसे
सभी को ख़ौफ़ उसी लम्हा-ए-शरर से था
mushkil kaa saamnaa ho to himmat na haariye
himmat hai shart saahib-e-himmat se kyaa na ho
vo bulaate to hain mujh ko magar ai jazba-e-dil
shauq itnaa bhi na baDh jaae ki jaae na bane
jazba-e-ishq salaamat hai to inshaa-allaah
kachche dhaage se chale aaeinge sarkaar bandhe
kyaa karishma hai mire jazba-e-aazaadi kaa
thi jo divaar kabhi ab hai vo dar ki surat
ghalat hai jazba-e-dil par nahin koi ilzaam
khushi mili na hamein jab to gham ki khu kar li
koi tohmat ho mire naam chali aati hai
jaise baazaar mein har ghar se gali aati hai