Shayari
tujh se parda nahin mire gham kaa
tu miri zindagi kaa mahram hai
ghalat hai jazba-e-dil par nahin koi ilzaam
khushi mili na hamein jab to gham ki khu kar li
غلط ہے جذبۂ دل پر نہیں کوئی الزام
خوشی ملی نہ ہمیں جب تو غم کی خو کر لی
ग़लत है जज़्बा-ए-दिल पर नहीं कोई इल्ज़ाम
ख़ुशी मिली न हमें जब तो ग़म की ख़ू कर ली

tujh se parda nahin mire gham kaa
tu miri zindagi kaa mahram hai
koi to khair kaa pahlu bhi nikle
akelaa kis tarah ye shar rahegaa
biThaa ke saamne tum ko bahaar mein pi hai
tumhaare rind ne tauba bhi ru-ba-ru kar li
ab na vo josh-e-vafaa hai na vo andaaz-e-talab
ab bhi lekin tire kuche se guzar hotaa hai
niklo bhi kabhi sud-o-ziyaan se varna
kuche mein tire kaun bhalaa aaegaa
dil na kaaba hai ne kalisaa hai
teraa ghar hai harim-e-mariyam hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khushaa vo dard ke lamhe ki tere jaane par
hamaari anjuman-e-gham mein lauT aae hain
kyaa jaane use vahm hai kyaa meri taraf se
jo khvaab mein bhi raat ko tanhaa nahin aataa
bachchon ko ham na ek khilaunaa bhi de sake
gham aur baDh gayaa hai jo tyauhaar aae hain