Shayari
aankh jhapkin to itne arse mein
jaane kitne baras guzar jaaein
koi tohmat ho mire naam chali aati hai
jaise baazaar mein har ghar se gali aati hai
کوئی تہمت ہو مرے نام چلی آتی ہے
جیسے بازار میں ہر گھر سے گلی آتی ہے
कोई तोहमत हो मिरे नाम चली आती है
जैसे बाज़ार में हर घर से गली आती है

aankh jhapkin to itne arse mein
jaane kitne baras guzar jaaein
kahaan milaa main tujhe ye savaal baa'd kaa hai
tu pahle yaad to kar kis jagah ganvaayaa mujhe
andheri raat hai saaya to ho nahin saktaa
ye kaun hai jo mire saath saath chaltaa hai
mire mazaar pe aa kar diye jalaaegaa
vo mere baa'd miri zindagi mein aaegaa
kuchh tasaavir bol paDti hain
sab ki sab be-zabaan nahin hotin
jaan qarz hai so utaarte hain
ham umr kahaan guzaarte hain
khaak uchhaalo jo zamin par to falak par gir jaae
ab khulaa ye ki bahut past hai himmat meri
har ek baat ko chup-chaap kyuun sunaa jaae
kabhi to hausla kar ke nahin kahaa jaae
zindagi phaili hui thi shaam-e-hijraan ki tarah
kis ko itnaa hausla thaa kaun ji kar dekhtaa
khudaa kare ki vahi baat us ke dil mein ho
jo baat kahne ki himmat juTaa rahaa huun main
aziiz gar thaa ta'alluq to kis liye toDaa
jab ikhtilaaf kiyaa to mufaahamat kaisi
ghurur-e-husn na kar jazba-e-zulekhaa dekh
kiyaa hai ishq ne yusuf ghulaam aashiq kaa