Shayari
kyuun ham ko sunaate ho jahannam ke fasaane
is daur mein jiine ki sazaa kam to nahin hai
M
Masroor Jalandharihamaari aankhon mein be-vajh aa gae aansu
yaqin kiije kisi baat par nahin aae
ہماری آنکھوں میں بے وجہ آ گئے آنسو
یقین کیجے کسی بات پر نہیں آئے
हमारी आँखों में बे-वज्ह आ गए आँसू
यक़ीन कीजे किसी बात पर नहीं आए
kyuun ham ko sunaate ho jahannam ke fasaane
is daur mein jiine ki sazaa kam to nahin hai
jo bhi chaaho nikaal lo matlab
khaamushi guftugu pe bhaari hai
shaayad aa jaae kisi vaqt lab-e-baam vo chaand
shaam se subah talak band daricha na kiyaa
ik umr ki mehnat kaa ye phal paaeinge ham log
miTTi ki ridaa oDh ke so jaaeinge ham log
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
go kaThin hai tai karnaa umr kaa safar tanhaa
lauT kar na dekhungaa chal paDaa agar tanhaa
kyuun nahin letaa hamaari tu khabar ai be-khabar
kyaa tire aashiq hue the dard-o-gham khaane ko ham
jo aa rahi hai sadaa ghaur se suno us ko
ki is sadaa mein khudaa boltaa saa lagtaa hai