Shayari
kyuun ham ko sunaate ho jahannam ke fasaane
is daur mein jiine ki sazaa kam to nahin hai
M
Masroor Jalandharishaayad aa jaae kisi vaqt lab-e-baam vo chaand
shaam se subah talak band daricha na kiyaa
شاید آ جائے کسی وقت لب بام وہ چاند
شام سے صبح تلک بند دریچہ نہ کیا
शायद आ जाए किसी वक़्त लब-ए-बाम वो चाँद
शाम से सुबह तलक बंद दरीचा न किया
kyuun ham ko sunaate ho jahannam ke fasaane
is daur mein jiine ki sazaa kam to nahin hai
jo bhi chaaho nikaal lo matlab
khaamushi guftugu pe bhaari hai
hamaari aankhon mein be-vajh aa gae aansu
yaqin kiije kisi baat par nahin aae
ik umr ki mehnat kaa ye phal paaeinge ham log
miTTi ki ridaa oDh ke so jaaeinge ham log
main shauq-e-vasl mein kyaa rail par shitaab aayaa
ki subh hind mein thaa shaam panj-aab aayaa
tujh se kyaa subh talak saath nibhegaa ai umr
shab-e-furqat ki jo ghaDiyon kaa guzarnaa hai yahi
jo log aa rahe hain tumhaare qarib-tar
muD kar vo su-e-shaam-o-sahar dekhte nahin
kahin kahin koi taara kahin kahin jugnu
jo meri raat thi vo aap kaa saveraa hai
bujhaaun kyaa charaagh-e-subh-gaahi
mire ghar shaam honi hai sahar se
nasim-e-subh yuun le kar tiraa paighaam aati hai
pari jaise koi haathon mein le kar jaam aati hai