Shayari
kisi ke yaad karne kaa agar hoti sabab hichki
miraa mahbub ho kar ke pareshaan mar gayaa hotaa
baDhte hi jaa rahe hain tufaan khvaahishon ke
hoti hi jaa rahi hai mujh mein kami tumhaari
بڑھتے ہی جا رہے ہیں طوفان خواہشوں کے
ہوتی ہی جا رہی ہے مجھ میں کمی تمہاری
बढ़ते ही जा रहे हैं तूफ़ान ख़्वाहिशों के
होती ही जा रही है मुझ में कमी तुम्हारी

kisi ke yaad karne kaa agar hoti sabab hichki
miraa mahbub ho kar ke pareshaan mar gayaa hotaa
sochtaa huun kyaa miraa bantaa khudaa ke saamne
gar na hotaa yaa-rasulullah sahaaraa aap kaa
bahut aasaan lafzon mein ye us ne kah diyaa ham se
nahin tum se mohabbat jaao jo karnaa hai so kar lo
jab bhi chumaa hai tire honTon ko
jism se un ko judaa jaanaa hai
abhi to aur baDhegi ye tishnagi dil ki
abhi to aur bhi zyaada vo yaad aaeinge
main tum se duur rah kar kis tarah ye tum ko samjhaaun
ki mujh se duur rah kar kis qadar ho tum akeli
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
jin ke baghair lagti thi be-kaar zindagi
un se hi baat karne ki hasrat nahin rahi
kuchh ehtiraam bhi kar gham ki vaza-daari kaa
giraan hai arz-e-tamannaa to baar baar na kar
safar mein hoti hai pahchaan kaun kaisaa hai
ye aarzu thi mire saath tu safar kartaa
talaatum aarzu mein hai na tufaan justuju mein hai
javaani kaa guzar jaanaa hai dariyaa kaa utar jaanaa
vaae khush-fahmi ki parvaaz-e-yaqin se bhi gae
aasmaan chhune ki khvaahish mein zamin se bhi gae