Shayari
kyaa ghair kyaa aziiz koi nauhagar na ho
ai jaan yuun nikal ki badan tak khabar na ho
M
Meer Kallu Arshhasrat-e-did mein aakhir ko dam apnaa ulTaa
parda-e-chashm na us shokh ne apnaa ulTaa
حسرت دید میں آخر کو دم اپنا الٹا
پردۂ چشم نہ اس شوخ نے اپنا الٹا
हसरत-ए-दीद में आख़िर को दम अपना उल्टा
पर्दा-ए-चश्म न उस शोख़ ने अपना उल्टा
kyaa ghair kyaa aziiz koi nauhagar na ho
ai jaan yuun nikal ki badan tak khabar na ho
chashm-e-baatin mein se jab zaahir kaa parda uTh gayaa
jo musalmaan thaa vahi hindu nazar aayaa mujhe
kyaa diyaa bosa lab-e-shirin kaa ho kar tursh-ru
munh huaa miThaa to kyaa dil apnaa khaTTaa ho gayaa
kaaba kaa aur khaana-e-dil kaa ye haal hai
jaise koi makaan ho makaan ke javaab mein
gale mein apne pahnaa hai jo tu ne ai but-e-kaafir
miri tasbih ko hai rashk zunnaar-e-barahman par
nazar kisi ko vo mu-e-kamar nahin aataa
ba-rang-e-taar-e-nazar hai nazar nahin aataa
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
na koi phuul hi rakhaa na aarzu na charaagh
tamaam ghar ko bayaabaan kar diyaa main ne
unhin ki hasrat-e-rafta ki yaadgaar huun main
jo log rah gae tanhaa bhari bahaaron mein
kharaab-e-dahr na main khud huaa na tu ne kiyaa
jo kuchh kiyaa tire milne ki aarzu ne kiyaa
Hazaaron khwahishein aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bahut nikle mere armaan, lekin phir bhi kam nikle