Shayari
kyaa ghair kyaa aziiz koi nauhagar na ho
ai jaan yuun nikal ki badan tak khabar na ho
M
Meer Kallu Arshkaaba kaa aur khaana-e-dil kaa ye haal hai
jaise koi makaan ho makaan ke javaab mein
کعبہ کا اور خانۂ دل کا یہ حال ہے
جیسے کوئی مکاں ہو مکاں کے جواب میں
काबा का और ख़ाना-ए-दिल का ये हाल है
जैसे कोई मकाँ हो मकाँ के जवाब में
kyaa ghair kyaa aziiz koi nauhagar na ho
ai jaan yuun nikal ki badan tak khabar na ho
chashm-e-baatin mein se jab zaahir kaa parda uTh gayaa
jo musalmaan thaa vahi hindu nazar aayaa mujhe
kyaa diyaa bosa lab-e-shirin kaa ho kar tursh-ru
munh huaa miThaa to kyaa dil apnaa khaTTaa ho gayaa
gale mein apne pahnaa hai jo tu ne ai but-e-kaafir
miri tasbih ko hai rashk zunnaar-e-barahman par
hasrat-e-did mein aakhir ko dam apnaa ulTaa
parda-e-chashm na us shokh ne apnaa ulTaa
nazar kisi ko vo mu-e-kamar nahin aataa
ba-rang-e-taar-e-nazar hai nazar nahin aataa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai