Shayari
vo zabt thaa ki aah na nikli zabaan se
dil pe hamaare kitne hi khanjar guzar gae
na koi phuul hi rakhaa na aarzu na charaagh
tamaam ghar ko bayaabaan kar diyaa main ne
نہ کوئی پھول ہی رکھا نہ آرزو نہ چراغ
تمام گھر کو بیابان کر دیا میں نے
न कोई फूल ही रखा न आरज़ू न चराग़
तमाम घर को बयाबान कर दिया मैं ने

vo zabt thaa ki aah na nikli zabaan se
dil pe hamaare kitne hi khanjar guzar gae
aap dariyaa ki ravaani se na uljhein hargiz
tah mein us ke koi girdaab bhi ho saktaa hai
hamaari ziist mein aise bhi lamhe aate hain aksar
daraaron ke tavassut se havaa deti hain divaarein
tahzib hi baaqi hai na ab sharm-o-hayaa kuchh
kis darja ab insaan ye bebaak huaa hai
raabta kyuun rakhun main dariyaa se
pyaas bujhti hai meri sahraa se
us jaisaa dusraa na samaayaa nigaah mein
kitne hasin aankhon se paikar guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa