Shayari
churaa ke muTThi mein dil ko chhupaae baiThe hain
bahaanaa ye hai ki mehndi lagaae baiThe hain
ab raqib-e-bul-havas hain ishq-baaz
dil lagaane se bhi nafrat ho gai
اب رقیب بوالہوس ہیں عشق باز
دل لگانے سے بھی نفرت ہو گئی
अब रक़ीब-ए-बुल-हवस हैं इश्क़-बाज़
दिल लगाने से भी नफ़रत हो गई

churaa ke muTThi mein dil ko chhupaae baiThe hain
bahaanaa ye hai ki mehndi lagaae baiThe hain
shaghl-e-ulfat ko jo ahbaab buraa kahte hain
kuchh samajh mein nahin aataa ki ye kyaa kahte hain
itnaa mardud huun ki Dar hai mujhe
qabr se pheink de zamin na kahin
apni kashti kaa hai khudaa haafiz
pichhe tufaan hai saamne girdaab
kyuun paas mire aa kar yuun baiThe ho munh phere
kyaa lab tire misri hain main jin ko chabaa jaataa
aa hi kuudaa thaa dair mein vaaiz
ham ne Taalaa khudaa khudaa kar ke
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jin dinon 'ishq nahin hotaa thaa
kaale paani ki sazaa hoti thi
bhulne vaale tujhe yaad kiyaa hai barson
dil-e-viraan ko yuun aabaad kiyaa hai barson
pahle pahle khuub mohabbat ki ham ne
phir ham donon ne ye rasta chhoD diyaa
na jaane kaun si manzil pe ishq aa pahunchaa
duaa bhi kaam na aae koi davaa na lage