Shayari
rusvaaiyon ki apni mujhe kuchh havas nahin
naaseh pa kyaa karun ki miraa dil pe bas nahin
M
Meer Ziauddin Ziakaun se zakhm kaa khulaa Taankaa
aaj phir dil mein dard hotaa hai
کون سے زخم کا کھلا ٹانکا
آج پھر دل میں درد ہوتا ہے
कौन से ज़ख़्म का खुला टाँका
आज फिर दिल में दर्द होता है
rusvaaiyon ki apni mujhe kuchh havas nahin
naaseh pa kyaa karun ki miraa dil pe bas nahin
bhuul kar bhi kabhi na yaad kiyaa
ham tire ji se aise bhuul gae
jama kar ke dard saare tu ne paidaa dil kiyaa
kah tu ai dast-e-qazaa is se kyaa haasil kiyaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
hijr thaa baar-e-amaanat ki tarah
so ye gham aakhiri hichki se uThaa
ai inqalaab-e-nau ke ujaale kahaan hai tu
saDkon pe mere shahr ki kab tak dhuaan rahe
un ki hasrat bhi nahin main bhi nahin dil bhi nahin
ab to 'bekhud' hai ye aalam miri tanhaai kaa