Shayari
zamin par ghar banaayaa hai magar jannat mein rahte hain
hamaari khush-nasibi hai ki ham bhaarat mein rahte hain
'aql aur 'ishq laDte rahe der tak
'aql maari gai 'ishq zinda rahaa
عقل اور عشق لڑتے رہے دیر تک
عقل ماری گئی عشق زندہ رہا
'अक़्ल और 'इश्क़ लड़ते रहे देर तक
'अक़्ल मारी गई 'इश्क़ ज़िंदा रहा

zamin par ghar banaayaa hai magar jannat mein rahte hain
hamaari khush-nasibi hai ki ham bhaarat mein rahte hain
vo kuchh ghalat nahin thaa hamin bevaquf the
shishe ko saaf karte rahe is taraf se ham
jab tumhaari ye maatami aankhein
muskuraati hain shor thamtaa hai
visaal-e-yaar furqaton ki rut badal nahin rahaa
badan qaraar paa gayaa hai dil sanbhal nahin rahaa
tumhaare husn ko kab tak varaq varaq paDhte
so ek raat mein puuri kitaab paDh Daali
zaraa baahon ke halqe aur kas lo
mohabbat saans lenaa chaahti hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
raas aae tum ko mulk-e-ishq ki aab-o-havaa
aashiqo har-vaqt shaghl-e-aah-o-zaari chaahiye
chalo ham bhi vafaa se baaz aae
mohabbat koi majburi nahin hai
'aql kuchh kaam ki na thi 'asraar'
'ishq ne is ko Thiik Thaak kiyaa
tum ko chaahein bhi aur ghair ke saath bhi dekhein
tum kyaa jaano ishq ki kyaa kyaa laachaari hai